Saaiyaan Lyrics - All Gunday Movie Songs - Shahid Mallya
Saaiyaan Song Lyrics - Gunday Movie Songs - Shahid Mallya Song - Download Full Mp3 of Gunday Movie

Kal Meera tadpi Kaanha ko
Sab laaj samaaj ganwaai re
Ab prem mein tadpan tarsan ki
Hain baari Kaanha ki aayi re

Mori jaan gayi
O.. tora khel hua
Mujh se main rootha
Mujh mein main toota

O.. mujh se main rootha
Mujh mein main toota
Mujhko maine ishq wafaa mein
Khud hi hai loota

Lut-lut ke.. lut-lut ke..
Jeena hai marna baanke yaar bina

Saaiyaan.. hun main ki karaan
Saaiyaan.. jee laan ya maraan
Saaiyaan.. Rab mujhse khafaa
Saaiyaan.. x2

Mujh se main rootha
Mujh mein main toota
Mujhko maine ishq wafaa mein
Khud hi hai loota
Lut-lut ke.. lut-lut ke..
Jeena hai marna baanke yaar bina

Saaiyaan.. hunn main kee karaan
Saaiyaan.. jee laan ya maraan
Saaiyaan.. Rab mujhse khafa
Saaiyaan.. x2

Ho.. sapnon ke sheeshe toote
Dukh ki daraar se
Chaah ke bhi nikle na mann majhdhar se
Koi bhi na bole aur koi bhi bulaaye na
Phir bhi aawaazein sune baadlon ke paar se
Rus-rus ke.. rus-rus ke..
Mann se mann jaana khud hi yaar bina

Saaiyaan.. hunn main kee karaan
Saaiyaan.. jee laa ya maraan
Saaiyaan.. Rab mujhse khafa
Saaiyaan.. x2
 
Top