Sahib (Maula) Nazar Rakhna Lyrics - Rituraj HD Video Song Bhoothnath Returns. lyrics are penned by Munna Dhiman.
Sahib  Bhoothnath Returns Song
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Tera karam sabko mile, sabki fikar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna


Na aadmi ki aadmi jhele ghulaamian

Na aadmi se aadmi maange salaamian
Jo fark paida ho rahe wo fark gark ho
Sabko barabar baant yeh dharti yeh aasman
Koi bhi na ho dard mein, sabki khabar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna


Sab sarr utha ke chal sake, sabko yeh bal mile

Koi kisi aawaz ko, Data kuchal na de
Yahaan kaam bhi sabko mile, aaram bhi sabko
Mehnat kare jo aadmi, mehnat ka phal mile
Har bol pe, har baat pe, apna asar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna



Maula..... Maula.....
 
Top